Quotes/ Shayaris on Nazariya || "नज़रिया- हक़ीक़त का"

Nazariya kabhi galat nahi hota, magar har kisi ka usko dekhne ka tareeka alag alag hota hai.
Kisi ke liye kuch cheez sahi hoti hai toh doosre ke liye vo galat.

"Kahani mashhoor hoti hai,
Kabhi kisse daba diye jaate hain,
Kirdaar ko sach,
Nazariye galat thehra diye jaate hain!"

Kai baar issi nazariya ke karan kisi ko doshi, toh kisi ke jhooth ko haqeeqat bana ke pesh kiya jaata hai.

Issi nazariye se ru-bharu karwaane ke liye aaj hum aapke liye kuch shayariyaan laayein hain, We hope you will like it.

"नज़रिया"

"Chodha hai tune saath mera,
Todha hai tune har khwab mera,
Yeh dastoor hai koi,
Ya khwab ka dariya hai,
Bata iss par tera kya nazariya hai !

Yun toh uss raat ki bhi apni kahani hai,
Haqeeqat usne bhi apni sunani hai,
Chand sitaron se roshan hai yeh kayenaat saari,
Magar phir bhi vo raat tanha hai,
Bata iss par tera kya nazariya hai !"

"छोड़ा है तूने साथ मेरा,
तोड़ा है तूने हर ख्वाब मेरा,
यह हक़ीक़त है कोई,
या ख्वाब का दरिया है,
बता इस पर तेरा क्या नज़रिया है !

यूँ तो उस रात की भी अपनी कहानी है,
हक़ीक़त उसने भी अपनी सुनानी है,
चाँद सितारों से रोशन है यह कायनात सारी,
मगर फिर भी वो रात तनहा है,
बता इस पर तेरा क्या नज़रिया है !"
________________________________________________________________________________________________________

"Har acchai main burai nahi hoti,
Har nazar ke nazariye mein sacchai nahi hoti !"
"हर अच्छाई में बुराई नहीं होती,
हर नज़र के नज़रिये में सच्चाई नहीं होती !"
______________________________________________________

Jaisi nazar se dekhna chaho,
Waisi nazar aati hai zindagi,
Badlo jeene ka nazariyaa,
Toh badal jaati hai zindagi !
"जैसी नज़र से देखना चाहो,
वैसी नज़र आती है ज़िन्दगी,
बदलो जीने का नज़रिया,
तो बदल जाती है ज़िन्दगी !"
______________________________________________________

"Tevar bhi badlega,
Tareeka bhi badlega,
Jab haasil mukaam hoga,
Toh sabka nazariya bhi badlega !"

"तेवर भी बदलेगा,
तरीका भी बदलेगा,
जब हासिल मुकाम होगा,
तो सबका नज़रिया भी बदलेगा !"
______________________________________________________

"When we change the way we look at things,
The things will also start changing themselves!

The complete game is of the way you see,
Neither the way it is, nor the way it exists !"
______________________________________________________

"Khoobiyaan toh bahut hain, kami hai toh mauke ki,
Hawayein toh bahut hain, Kami hai toh jhoke ki,
Rawayatein toh bahut hain, kami hai toh kisse ki,
Sahil toh bahut hain, kami hai toh lehron ki,
Nazaare toh bahut hain, kami hai toh nazariye ki !"


"खूबियाँ तो बहुत हैं, कमी है तो मौके की,
हवाएँ तो बहुत हैं, कमी है तो झोंके की,
रवायतें तो बहुत हैं, कमी है तो किस्से की,
साहिल तो बहुत हैं, कमी है तो लहरें उठने की,
नज़ारे तो बहुत हैं, कमी हैं तो नज़रिये की !"
______________________________________________________

"Na accha hoga,
Na bura hoga,
Hoga waisa,
Jaisa nazariya hoga !"

"ना अच्छा होगा,
ना बुरा होगा,
होगा वैसा,
जैसा नज़रिया होगा !"




"सोच बदलोगे, नज़रिया बदलेगा!"




Editor @HiddenSoul

Post a Comment

Previous Post Next Post