Quotes on INTEZAAR || Intezaar Quotes || "इंतज़ार- लम्हे का"

Intezaar, ik aisa daur hai, jisse shyd har koi ik na ik baar apni zindagi main guzarta hoga.
Apne sapne poore karne ka intezaar, jee bhar ke jeene ka intezaar, pal bhar ki muskurahat ka intezaar, apne pyaar ko qabool karne ka intezaar.

Har kisi ka apna apna tareeka, apni apni sahulatein hoti hain.

Koi dil mein rakhkar intezaar sehta hai,
Koi labon ki muskurahat ke ahsaas se kehta hai,
Kisi ke lafzon mein intezaar hai,
kisi ki chuppi main bhi izhaar hai!


"इंतज़ार"

"Halaton ki nazakat,
Palon ki dooriyaan,
Kya khoob samjhi hai maine,
Har waqt teri kami mehsoos ki hai maine!

Tu laut aa tere intezaar main takti hain aankhein humari,
Tujhe dekhne ki chahat main karle yeh duayein qabool saari!

Dil mein chupe armaan hain mere bhi,
Lafzo tale dabe ahsaas hain mere bhi,
Kisi ko na bata paane ki ruksat,
Yeh khwab dekh jagi hain aaj aankhein meri bhi!

Intezaar rehta hai har shaam tera,
Yaadein roti hain lete hue naam tera,
Muddaton se baithe hain yeh aas paale,
Ke kabhi toh aayega na paigaam tera!


Tadap kar dekho kisi ke pyaar main,
Intezaar ka ahsaas khud-ba-khud pata chalega,
Yun hi mil jaaye koi bina tadpe,
Toh pyaar kya hota hai kaise pata chal paayega"



"हालातों की नज़ाकत,
पलों की दूरियाँ,
क्या खूब समज्झि है मैं,
हर वक़्त तेरी कमी महसूस की है मैंने!

तू लौट आ तेरे इंतज़ार में तकती हैं आँखें हमारी,
तुझे देखने की चाहत में करले ये दुआएं क़बूल सारी!

दिल में छुपे अरमान हैं मेरे भी,
लफ़्ज़ों तले दबे अहसास हैं मेरे भी,
किसी को न बता पाने की रुक्सत,
ये ख्वाब देख जगी हैं आज आँखें मेरी भी!

इंतज़ार रहता है हर शाम तेरा,
यादें रोटी हैं लेते हुए नाम तेरा,
मुद्दतों से बैठे हैं यह आस पाले,
के कभी तो आएगा ना पैगाम तेरा!

तड़प कर देखो किसी के प्यार में,
इंतज़ार का एहसास खुद-बा-खुद पता चलेगा,
यूँ ही मिल जाए कोई बिन तड़पे,
तो प्यार क्या होता है कैसे पता चल पायेगा!"
________________________________________________________________________________________________________

"Kuch rishte iss liye bhi bhikar jaatein hain,
Kyunki ik intezaar karta rehta hai,
Doosre ko farak nhi padhta!"

कुछ रिश्ते इस लिए भी भिकर जाते हैं,
क्यूंकि एक इंतज़ार करता रहता है,
दूसरे को फर्क नहीं पढता!
______________________________________________________

"Milne ka maza aksar intezaar ke baad hi aata hai!"


______________________________________________________

"Kya hai zindagi koi bataye mujhe,
Kaise jeena hai, koi sikhaye mujhe!

Kis raah jaana hai iss safar mein,
Koi saath chalkar mere, bataye mujhe!

Samajh mein nahi aata kya hai yeh mohabbat,
Koi ho jo iska arth smjhaaye mujhe!

Gamon ki raat mein khush hone ki wajah dhoondh raha hoon,
Koi toh ho jo thaam kar haath uss khusuhi mein jeena sikhaye mujhe!

Chalte chalte inn raahon par ab thakan si mehsoos hone lagi hai,
Koi toh ho jo sar par haath pher sulaye mujhe!"


"क्या है ज़िन्दगी, कोई बताये मुझे,
कैसे जीना है, कोई तोह सिखाये मुझे!

किस राह जाना है इस सफर में,
कोई साथ चलकर मेरे बताये मुझे!


समझ में नहीं आता क्या है ये मोहब्बत,
कोई हो जो इसका अर्थ समझाये मुझे!

ग़मों की रात में खुश होने की वजह ढूँढ रहा हूँ,
कोई तो हो जो थाम कर हाथ उस ख़ुशी में जीना सिखाये मुझे!

चलते चलते इन राहों पर अब थकान सी मेहसूस होने लगी है,
कोई तो हो जो सर पर हाथ फेर सुलाए मुझे!"
________________________________________________________________________________________________________

"Bas yun hi toh umeedein jagate hain yeh zamane waale,
Laut kar kahan aate hain yaar vo jaane waale!"

"बस यूँ ही तोह उम्मीदें जगाते हैं ये ज़माने वाले,
लौट कर कहाँ आते हैं यार वो जाने वाले!"



Editor @HiddenSoul

Post a Comment

Previous Post Next Post