Umeed Shayari || Quotes on Umeed || "उम्मीद- दिल की"

Umeed, ik aisi chahat hoti hai jo har ik ke dil mein basti hai.
Din bhar mein humain bahut saari umeeedein hoti hain, magar har umeed mukammal ho yeh bhi samhav nahi.
Umeed chahe apnon se ho ya paraye insaan se, tootti hai toh dukh dono se milta hai, kyunki humara dil uss dukh ko jhelne jitna mazboot nhi hota.
Humain chah hoti hai ke hum khudki umeed doosron se jodhenge aur humain khushi milegi, magar aisa nahi hota hai.
Aisa karke sirf humare dil ko thes pahunchti hai, hum apni zindagi khone lagte hain.
Khushi apne andar se aani chahiye, aur agar umeed rakhni hai toh vo bhi khudse rakhi jaaye toh iccha se jyada shakti milti hai.
Kuch aisi hi umeedon ka matlab samjhaane hum leke aayein hain kuch shayariyaan, umeed karte hain aapko pasand aayegi.


"उम्मीद"

"Umeedon ka makaan aksar apnon ke aage dhehte dekha hai,
Maine apnon ko apne saamne rote dekha hai,
Kuch apne hi the unki umeedon ko rondne waale,
Maine khud ki hi umeedon ko tootte dekha hai!

Sapnon ki duniya mein khushiyon ko aazmaaya hai,
Maine apni duniya ko khudse banaya hai,
Dil se har umeed ko sajaya hai,
Maine har chahat ko apne dil mein basaya hai!

Phir ik din chahat ne apna rukh modha,
Mujhe pyaar ke raste la ke cchodha,
Khudko rokne ki saari koshishein ki thi maine,
Magar na jaane kaise maine apne aap ko iss dukh se jodha!

Ab aaj uski lautne ki umeed liye baithe hain,
Hum har yaad ko uski apne dil mein siye baithe hain,
Lakhon logon ki chahat hai tu yeh toh hum bhi jaante hain,
Magar aaj bhi hum iss mohabat ka ghoont peeye baithe hain!

Umeed hai ik din sab badal jaayega,
Jo door hai vo bhi kareeb nazar aayega,
Chatenge badal andhere ke iss dil se,
Phir ik baar duniya ka karwan ban jaayega!"


"उम्मीदों का मकान अक्सर अपनों के आगे ढहता देखा है,
मैने अपनों को अपने सामने रोते देखा है,
कुछ अपने ही थे उनकी उम्मीदों को रौदने वाले,
मैने खुद की ही उम्मीदों को टूटते देखा है!

सपनों की दुनिया में खुशियों को आजमाया है,
मैने अपनी दुनिया खुद से बनाया है,
दिल से हर उम्मीद को सजाया है,
मैने हर चाहत को अपने दिल में बसाया है!

फिर एक दिन चाहत ने अपना रुख मोड़ा,
मुझे प्यार के रास्ते ला के छोड़ा,
खुदको रोकने की सारी कोशिशें की थी मैने,
मगर का जाने किस मैने अपने आप को इस दुख से जोड़ा!

अब आज उसकी लौटने की उम्मीद लिए बैठे हैं,
हम हर याद को उसकी अपने दिल में सीए बैठे हैं,
लाखों लोगों की चाहत है तू ये तो हम भी जानते हैं,
मगर आज भी हम इस मोहब्बत का घूंट पीए बैठे हैं!

उम्मीद है की एक दिन सब बदल जाएगा,
जो दूर है वो भी करीब नज़र आयेगा,
छटेंगे बादल अंधेरे के इस दिल से,
फिर एक बार दुनिया का कारवां बन जाएगा!"
b>
________________________________________________________________________________________________________

"Kisse karein ab wafa ki umeed,
Ke ab toh mitte ke bane log bhi kagazon mein bikk jaate hain!"

"किस से करें अब वफा की उम्मीद,
के अब तो मिट्टी के बने लोग भी कागजों के भाव बिक जाते हैं!"
______________________________________________________

"Umeed na kar iss duniya se,
Yeh humdard hi hote hain,
Jo zakhm bhi shiddat se dete hain!"

"उम्मीद ना कर इस दुनिया से,
यह हमदर्द ही होते हैं,
जो ज़ख्म भी शिद्दत से देते हैं!"
______________________________________________________

"Unhone toh humain paane ki umeed hi kabhi na ki,
Toh bhala khone ka darr bhi kaise hota!"

"उन्होंने तो हमें पाने की उम्मीद ही कभी ना की,
तो भला खोने का डर भी कैसे होता!"
______________________________________________________

"Jeene ka tareeka badlo,
Sab badal jaayega,
Umeedon ke sahare na jeekar,
Zidd se rishta jodho,
Toh jeene ka maza bhi aayega!"

"जीने का तरीका बदलो,
सब बदल जाएगा,
उम्मीदों के सहारे ना जीकर,
जिद्द से रिश्ता जोड़ो,
तो जीने का मज़ा भी आयेगा!"



Editor @HiddenSoul

Post a Comment

Previous Post Next Post