Quotes on Zindagi || Zindagi Shayaris || "ज़िन्दगी- एक कश्मकश"

Zindagi, ik masoom lamha hai, ik chalte rehne waali kahani hai, ik ansuni, andekhi dastaan hai, aur ik behetareen duniya hai.
Kabhi rote, kabhi haste hue, kabhi muskurate hue, beet jaati hai zindagi.
Kabhi samajh se koso door bhaagti hai zindagi, kabhi dekh k bhi samajh nhi aati hai zindagi.
Life dikhti toh easy h magar hoti nahi, door se humain lagta hai ke uss insaan k pass saari khushiyaan hain magar jab usse kareeb se dekha jaaye, toh saamajh mein aata hai, jo dukh saajha na ho vo jyada chubhta hai.
Humain aadat hoti hai khudki life ko doosre se compare karne ki,
Magar jis din hum asliyat ka maqsad samajh jaayein, vo din se hi hum dikhawe se door hona shuru kar dete hain.

"Na soch musafir itna zindagi ke bare mein,
Jisne zindagi di h, usne kuch accha jaroor socha hoga,
Tere baare mein!"



"ज़िन्दगी"

"Kaisa hai yeh kisko batana,
Yeh zindagi ka andekha fasana,
Ke thak se gaye hn chalte chalte,
Kon samajh paayega, yeh khel anjaana.

Kal ki chinta mein aaj bhi ro rha hoon,
Aansun chupa aaj bechain sa ho raha hoon,
Ke koi toh bataye aage kya hona hai,
Yeh soche aaj main so rha hoon!

Zindagi bawafa si lagne lagi hai,
Aaj raatein subah hone se pehle hi jagne lagi hai,
khwahishon ko phirse panah mili hai,
Aaj umeedein phirse jalne lagi hai!

Jitna samajh paaye utna bata na paaye,
Jitna le liya sabse utna lauta na paaye,
Ke khushiyon se mehfil saji humari bhi,
Magar jo kehna chahte the kisi ko smjha na paaye!"

"कैसा है किसको बताना,
यह ज़िन्दगी का अनदेखा फ़साना,
के थक से गए हैं चलते चलते,
कौन समझ पायेगा, यह खेल अनजाना!

कल की चिंता में आज भी रो रहा हूँ,
आंसूं छुपा आज बेचैन सा हो रहा हूँ,
के कोई तोह बताये आगे क्या होना है,
यह सोचे आज मैं सो रहा हूँ!

ज़िन्दगी बेवफा सी लगने लगी है,
आज रातें सुबह होने से पहले ही जगने लगी है,
ख्वाहिशों को फिरसे पनाह मिली है,
आज उम्मीदें फिरसे जलने लगी है!

जितना समझ पाए उतना बता नहीं पाए,
जितना ले लिया सबसे, उतना लौटा नहीं पाए,
के खुशियों से महफ़िल सजी हमारी भी,
मगर जो कहना चाहते थे, किसी को समझा न पाए! "
________________________________________________________________________________________________________

"Khudse bhi ab sach chupa jaate hain,
Zindagi ke gamon mein muskura jaate hain,
Haal apna kisi ko bata nhi paate,
Ab khudse hi chehra apna, chupa jaate hain!"

"खुदसे भी अब सच छुपा जाते हैं,
ज़िन्दगी के ग़मों में मुस्कुरा जाते हैं,
हाल अपना किसी को बटन नहीं पाते,
अब खुदसे ही चेहरा अपना, छुपा जाते है।"
______________________________________________________

"Kon kehta hai gulshan mein kewal gulaab khilte hain,
Yeh Zindagi hai sahab, Yahan afsaane hazar milte hain.
Khwabon se uth kar aaj zindagi ko pehchaana hai,
Aaj phirse muskurahat ko saamne se jaana hai!"

"कौन कहता है गुलशन में केवल गुलाब खिलते हैं,
ये ज़िन्दगी है साहब, यहाँ अफ़साने हज़ार मिलते हैं,
ख्वाबों से उठ कर आज ज़िन्दगी को पहचाना है,
आज फिरसे मुस्कराहट को सामने से जाना है!"
______________________________________________________

"Kal na hi hum honge, na koi gila hoga,
Sirf hongi yaadein, aur unka silsila hoga,
Jo lamhe hai chalo inhe haskar bita lo,
Kal na jaane iss zindagi ka kya faisla hoga!"

"कल ना ही हम होंगे ना कोई गिला होगा,
सिर्फ होंगी यादें, और उनका सिलसिला होगा,
जो लम्हे है चलो इन्हे हँसकर बिता लो,
कल ना जाने इस ज़िन्दगी का क्या फैसला होगा!"
______________________________________________________

"Zindagi ki haqeeqat ko toh bahut nazdeek se jaana hai,
Dard mein akele hain, Khushi mein poora zamana hai!"

"ज़िन्दगी की हकीकत को तोह बहुत नज़दीक से जाना है,
दर्द में अकेले हैं, ख़ुशी में पूरा ज़माना है!"



Editor @HiddenSoul

Post a Comment

Previous Post Next Post