Dard Shayaris || Quotes on Dard || "दर्द- दिलों का"

Dard, apne bhi dete hain, paraye bhi, magar jo dil par asar karta hai vo aksar apnon se hi milta hai.
Ik insaan apni zindagi meiin bahut rishte banata hai, magar unn rishton mein jab dard milne lage toh vo khokhla ho jaata hai.
Naa hi vo uss baat ko samjha paane mein saksham hota hai, na hi koi usse samajh paane mein.
Ik dil toot jaata hai apno ki wajah ki se, toh doosra rona hi chodh deta hai.
Kuch ahsaas bahut baad mein jaake hote hein, jinn rishton mein poori tarah khudko piro dete hain, vishwas bhi wahin se tootna shuru hota hai.
Aaj inhi rishton ke baare mein aapko kuch batane, kuch ahsaas krwaane, kuch dard se aapko ru-bharu krwaane hum kuch poems aur shayariyaan laaye hain, umeed karte hain aapko pasand aayega.


"दर्द"

"Aaj bhi dil mein mere ulfat ke nishaan baaki hain,
Yaadein gam aaj bhi zinda hai, kuch anjaam baaki hain,
Har baar ki hai tujhe bhoolne ki koshish,
Magar aaj bhi mere dil mein kuch sama baaki hain!

Mohabbat ki jab bhi tu meri kitaab padhega,
Naam tera bhi usmain tujhe shaamil milega,
Jinn baaton pr tu hasa meri karta tha,
Unhi dardon ke ahsaas ka paigaam milega!

Kuch dard binn musaafir bhi aate hain zindagi mein,
Kuch lafz binn kahe bhi sunai dete hain,
Kuch baaton ka maqsad hi hum samajh nhi paate,
Ke kuch khushiyaan ko hum gam mein badal dete hain!


" आज भी दिल में मेरे उल्फत के निशाँ बाकी है
यादें गम आज भी जिंदा है, कुछ अंजाम बाकी हैं,
हर बार की है तुझे भूलने की कोशिश
मगर आज भी मेरे दिल में कुछ समा बाकी हैं!

मोहब्बत की जब भी तू मेरी किताब पड़ेगा
नाम तेरा भी उसमें तुझे शामिल मिलेगा
जिन बातों पर तू हंसा मेरी करता था,
उन्ही दर्दों के अहसास का पैगाम मिलेगा

कुछ दर्द बिन मुसाफिर भी आते हैं जिंदगी में,
कुछ लफ्ज़ बिन कहे भी सुनाई देते हैं,
कुछ बातों का मकसद ही हम समझ नही पाते,
के कुछ खुशियों को हम गम में बदल देते हैं! "
________________________________________________________________________________________________________

"Taqdeer likhne waale ik ehsaan likh de,
Mere pyaar ki taqdeer mein ik muskaan likh de,
Na mile zindagi mein kabhi dard usko,
Chahe uski taqdeer mein meri jaan likh de!

"तकदीर लिखने वाले एक अहसान लिख दे, मेरे प्यार की तकदीर में एक मुस्कान लिख दे, ना मिले जिंदगी में कभी दर्द उसको, चाहे उसकी तकदीर में मेरी जान लिख दे!"
______________________________________________________

"Chahat aur sapne mein zyada fark nhi hota,
Dono ke tootne par dard behisaab hote hain!"

"चाहत और सपने में ज्यादा फर्क नही होता, दोनो के टूटने पर दर्द बेहिसाब होता है!"
______________________________________________________

"Dard hota hai jab apna roothta hai koi,
Aankh bhar aati hai jab apna chootta hai koi,
Sunn sako toh suno gaur se vo awaazein,
Kanch se dil ki tarah dor tootta hai koi!"

"दर्द होता है जब अपना रूठता है कोई, आंख भर आती है जब सपना टूटता है कोई, सुन सको तो सुनो गौर से वो आवाजें, कांच से दिल की तरह डोर टूटता है कोई!"
______________________________________________________

"Tanha main apne aap se toh nahi hoon,
Balki apnon ki wajah se hoon!"

"तन्हा मैं अपने आप से तो नहीं हूं, बल्कि अपनों की वजह से हूं!"
______________________________________________________

Jo log dard ko samajhte hain na,
Vo log kabhi uss dard ki wajah nhi bante!

"जो लोग दर्द को समझते हैं ना, वो कभी उस दर्द की वजह नही बनते!"



Post a Comment

Previous Post Next Post