Armaan Shayari || Quotes on Armaan || "अरमान- इश्क़ का"

Armaan, har kisi ke dil mein kabhi na kabhi koi armaan jaagta jaroor hai, phir vo kisi ke ishq ko paane ka armaan ho, ya asmano ko choone ka, magar yeh ik armaan, har roz humein jeene ki ik nayi umeed k saath jagaye rakhta hai.

"Kuch khwaab adhoore, poore hone abhi yeh armaan baaki hain,
Choone hain asmaan, dil ko sunane kai farmaan baaki hain!"

Inhi armaano ki duniya se ru-bharu karwaane ke liye aaj hum aapke liye kuch shayariyaan laayein hain, We hope you will like it.


"अरमान"

"Aaj armaan mere dil ke ik ik karke toote hain,
Lagta hai, aankhon mein base saare khwab jhoothe hain,
Kaise bhula doon uski yaadon ko main,
Ke koi bataye mujhe, kya muh se lage jaam kabhi choote hain!

Zara si zindagi, hai magar armaan bahut hain,
Humdard na yahan koi, insaan bahut hain,
Dil ka dard bhi jakar kise sunayein,
kuch dil ke kareeb hue, magar anjaan bahut hain!

Iss dil ke bhi kuch armaan the,
Magar bedard toh yahan insaan the,
Apna guzara hota bhi toh kaise,
Sheeshe se dil, patthar ke makaan the!"


"आज अरमान मेरे दिल के एक एक टूटे हैं,
लगता है आँखों में बसे सारे ख्वाब झूठे हैं,
कैसे भुला दूँ उसकी यादों को मैं,
के कोई बताये मुझे, क्या मुँह से लगे जाम कभी छूटते हैं!"

ज़रा सी ज़िन्दगी है, मगर अरमान बहुत हैं,
हमदर्द न यहाँ कोई, इंसान बहुत हैं,
दिल का दर्द भी जाकर किसे सुनायें
कुछ दिल के करीब हुए, मगर अंजान बहुत हैं!

इस दिल के भी कुछ अरमान थे,
मगर बेदर्द तोह यहाँ इंसान थे,
अपना गुज़ारा होता भी तो कैसे,
शीशे सा दिल, पत्थर के मकान थे!"
________________________________________________________________________________________________________

"Armaanon ko toh apno ne hi kuchal diye,
kuch khwab baaki the,
Aaj gairon ne unhe bhi machal diya!"

"अरमानों को तो अपनों ने ही कुचल दिया,
कुछ ख्वाब जो बाकी थे,
आज गैरों ने उन्हें भी मचल दिया!"
______________________________________________________

"Teri yaadon mein sanam hum dewaane hogye,
Toote jo khwab hum begaane hogye,
Kar le yaad aaj apne pyaar ko,
Tere dil ki dhadkanon sune zamane hogye!"

"तेरी यादों में सनम हम दीवाने हो गए,
टूटे जो ख्वाब हम बेगाने हो गए,
कर ले याद आज अपने प्यार को,
तेरे दिल की धड़कनों को सुने ज़माने हो गए!"
______________________________________________________

"Dard iss baat ka nahi ke main akela hoon,
Dard toh iss baat ka hai, ke mere akelepan mein bhi vo saath hai!"

"दर्द इस बात का नहीं के मैं अकेला हूँ,
दर्द तो इस बात का है, के मेरे अकेलेपन में भी वो मेरे साथ है!"
______________________________________________________

"Kuch armaan baarish ki boondon ki tarah hote hain,
Jinko choone ki khwahish mein,
Hatheliyaan toh bheeg jaati hain,
Magar haath hmesha khaali hi rehte hain!"

"कुछ अरमान बारिश की बूंदों की तरह होते हैं,
जिनको छूने की खवाहिश में,
हथेलियाँ तोह भीग जाती हैं,
मगर हाथ हमेशा खाली ही रह जाते हैं!"
______________________________________________________

"Simatte dekha hai maine,
Tammanaon ko tehzeeb ke dayre mein aksar,
Warna ihsq, khwashien aur armaan,
Bezubaan kab hote hain!"

"सिमटते देखा है मैंने,
तमन्नाओं को तहज़ीब के दायरे में,
वरना इश्क़, ख्वाहिशें और अरमान,
बेज़ुबाँ कब होते है!"
______________________________________________________

"Neendon mein sapne the,
Kal tak vo bhi apne the,
Aaj savere neend khulte hi jaana,
Raat ko vo apne, suhane sapne the!"

"नींदों में सपने थे,
कल तक वो भी अपने थे,
आज सवेरे नींद खुलते ही जाना,
रात को वो अपने, सुहाने सपने थे!"
______________________________________________________

"Tu sapna hai mera, tujhse mere armaan hain,
Par aaj bhi tu apni ahmiyat se anjaan hai,
Mujhse tu roothna mat kabhi,
Tere bagair bhari mehfilien bhi viraan hain!"

"तू सपना है मेरा, तुझसे मेरा अरमान है,
पर आज भी तू अपनी अहमियत से अनजान है,
मुझसे तू रूठना मत कभी,
तेरे बगैर भरी महफ़िलें भी वीरान है!"



Editor @HiddenSoul

Post a Comment

Previous Post Next Post